Sunday, November 14, 2010

Aao shikwe jala dein is mausam e sardi mein hum
Garmayein haath, rishton ki garmi mein hum
Roshan karein chiraag, phir kissi manzil ke liye
Aao ki mohabbat ka wohi nagma phir gungunayein hum
Mehsoos karein khud ko insaan phir se, dil dhadkayein
Kissi muflis ke liye do waqt ki guzar jutayein hum
Akele akele jab se huye hein, kho ke reh gaye hein
Ab do na rahein 'saahb' aao phir se ek ho jayein hum

Monday, September 6, 2010

tehzeeb

Nayee tehzeeb ko na toka kijiye ‘saahb’
Inko jayaz ho gaya hai, bazurgon ke kaan khinchna

khdua

Haath falayo saamne magar jo de sake
Khuda samjho unko jo khuda ho sake 

Thursday, July 8, 2010

Intezaar pe hi zinda rakha usne humko, yun

Intezaar pe hi zinda rakha usne humko, yun


Milne ke waada kar to diya, aur kya doon
Tere chand alfaaz kharch hote hein

Meri kalam ko nayee taqat milti hai

Tuesday, July 6, 2010

बाग़ भी अपने हाथों लगायो 'saahb'


फकत दुआ मांगने से बहार नहीं आती

Thursday, June 3, 2010

बड़ी दुश्वार हैं हमको यह रातें चाँद की
उनसे मिलने जाऊं तो साए साथ चलते हैं